Sher o Shayris - Deepa's Sher |
|
|
|
1. Dil chahe dekhna unhe to batao aankho ka kya kasoor. Har pal mahsoos ho jo unki khushbu to, sanson ka kya kasoor. Vaise to har khwab pooch ke nahi aate, maga
r har roj unka khwab aaye to raton ka kya kasoor.
2) Dosti ki andekhi surat ho aap, kisi ki zindagi ki jarurat ho aap. Khubsurat to phool bhi bahut hai, par mere liye phoolo se bhi jyada khubsurat ho aap.
3) Na muskuraane ko ji chahta hai
na aansu bahaane ko ji chahta hai.
aur kya likhun aapki yaad mein.
bas aapke paas aane ko jee chahta hai...
4) Ek Tamannaa hai iss Fakeer ke paas, Lagaana meri Tasveer Apni Tasveer ke paas, Taa ki log dekhe toh kahein... Hai Ranjhaa apni Heer ke Paas.
5) WHO INKAR KARTE HAI IKRAR KE LIYE, NAFRT BHI KRTE HAI TO PYAR KE LIYE, ULTI CHAL CHALTE HAI YE ISHQ KRNE WALE, ANKHEN BAND KARTE HAI DIDAR KE LIYE
6) Ankho mein kyun ansu chalak jate hain, tanhayion mein kyun gham yaad ate hain, ansu pochkar koi batade humme, bhul jane wale aksar kyun yad aate hai
7) Kismat mei jiske aap usey zindagi se kya chahiye, Dhadkan mei jiske aap usey duniya se kya chahiye, Hum to jeete hai apke liye, Warna in sanso se kya chahiye
.
8) agar hamara saath nahi nibhana hai aapko
to hume aise muskurane par mazaboor na ki jiye,
has kar bahot baar roya hai humne
aaj phirse rone par mazaboor na ki jiye
9) Der raat jab kisi ki yad sataye, thandi hawa jab zulfon ko sahlaye, karlo aankhe band aur so jao, kya pata jiska hai khyal wo khwabon mein aa jaye.
10) E Dost tere honthon ki kabhi muskuraht na jaye,tere palko me kabhi aansu bhi na aaye, teri rah me pade hoon kante jo kabhi, main hath rakkhun aur tu guzar jaye. |
Total there have been 481824 visitors (1480995 hits) on this page! |
|
|
|
|